Raat raat baitha bas main jaag ta rahu
Baithay baithay bas ye sochu ab kya karu
Zindagi ajeeb si hai main bhi ajeeb sa hu
Thora malang hu main duniya se tang hu
Baatein sunate hain, bara mujhe sata te hain
Parhe likhon ki basti mey main phas gaya hu jahil
Harkatein ajeeb si hain, baatein bhi ajeeb si hai
Itna hi masla hai tou kyun mou laga te ho
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hain bas ek hi namoona main
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hain bas ek hi namoona main
Sochon ke samandar mey dooba raha
Bach ne ki tawaqo main chor tha chukka
Main dewaana toota hara
Har nashe mey pyaar ko khoj ne chala
Khoj ne chala
Haan main ghalat hu aur baqi sab sahi
Main bhi to insaan hu pathar nahi
Kitna sahunga kis se kya kya kahunga
Faraib ki ye duniya aur jhoote saare loug
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hai bas ek hi namoona main
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hai bas ek hi namoona main
Hei aii aii
Hei aii aii
Han Raston pe chalna main seekh hi gaya
Andhera ho ya roshini phisal hi gaya
Phool ho ya kaate kuch farak hi nahi
Chub te hai dono main ne jana hai abhi
Gham wo nasha hai
Gham wo nasha hai
Haan gham woh nasha hai, jo choot ta nahi
Aur yeh woh nasha koi samajh ta nahi
Akela hu aaya aage chalta chalunga
Musaafir hu main yeh main ne jana hai abhi
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hai bas ek hi namoona main
Yaha sab madari hain bas ek hi jamura main
Haan sab khiladi hai bas ek hi namoona main
Madari! Madari Madari, Madari! Madari Madari
Hey hey hey heyyy hey hey
Yaha sab madari hain bas ek hi Namoona main