Kitni awajein hain, khudko main sun bhi na sakoon.
Kuch khidakiyan khulne ki kabse raah main taku.
Ye kaisi roshni hain, mujhe bula rahin.
Kuch os ki nami, mujhe bheega rahi.
Itni dikhawat hain, kuch aur dekh na sakoon.
Kyu unki nazaron se khudko main dekhta rahoo.
In Khidakiyon se hoo main, kud ja raha.
Nayi si angdai leti hui, subaha se mil raha.
Ye main kaha, hoo aa gaya,
Dhadkan meri main hoo sun pa raha,
Barso ke baad.
Sukoon se bhara, hain asman,
Khidkiya maine kholi bhi kahan,
Barso ke baad.
Main ab yahin, ruk ja raha.
Wapas nahi, main jaa raha.
Nayi si dhun main koi, hoo gunguna raha.
Nayi si roshni me, hoo main naha raha.
Kitni awajein hain, khudko main sun bhi na sakoon.
Kuch khidakiyan khulne ki kabse raah main taku.
Itni dikhawat hain, kuch aur dekh na sakoon.
Kyu unki nazaron se khudko main dekhta rahoo.