Hai ye aarambh
Ek kahaani ka
Anth likhte hain
Karam ki zubaani ka
Uljhe dhaago mein
Dhaste kadam mere
Badhte dhoonde
Kafan mein nishaan tere
Ab kya andhera hai
Aur kya savera hai
Lipta hoon jisme main
Ye fareb tera hai
Meri hasee hai bezubaan
Ghut ti cheekhein tu meri maut ka hai farmaan
Noche mujhe mujhme ramaan
Tere fitoor mein behta vo har katra
Jhooth ke aanchal ki
Likh tu saza kya hai
Lafz bhula de ke antim razaa kya hai
Aankhon se behte
Raqt ke ashkon se
Moh ka khanjar hi hai jo sanaa hai
Meri hasee hai bezubaan
Ghut ti cheekhein tu meri maut ka hai farmaan
Noche mujhe mujhme ramaan
Tere fitoor mein behta vo har katra
Raakh me mile
Sang bune the jo kisse saath ke
Teri nafrat ki aag mein jale
Sang bune the jo sapne saath ke
Ho chala hoon fanaa
Ishq mein tere cheekhta hua lamha mera
Tu meri maut