Kahaani ye pichle December ki hai
Us din bhi Roj ke kaam pe tha
Roj main Job ki chakki mein Pista
Aaram to bas dekho naam ka tha
Khushiyan aur sapne bhi paale the maine
Kuch maine tode kuch toot Gaye
Bas naam ke the saale Rishte naate
Kuch chhod gaye Kuch Bhool gaye
Haan Mere bhi andar ek Pagal hai
Jisko hai Baandha Jo Rootha hai
Sabke adhoore se Kisse yahan pe hain
Sabka yahan Dil toota hai
Banaayi thi maine bhi Jhilli ek chaadar thi
Jhuth ki jisme Main Jeeta
Jarurat thi mujhko kisi Apne ki
Dekha chaaro taraf koi bhi na tha
Gale mein Lagaya ho Fandaa koi
Ghutan wali aisi hi Life thi
Bematlab aawara tha ekdam Bechara
Nahin baaki koi bhi khwahish thi
Baki kasar jo bachi thi kahin
Usko poora Abhi aage hona tha
Sab bhool ke jeene laga tha Na
Tabhi to fir aayi thi Geeta
Haan Geeta ye ladki wahi thi jo har din
Meri Ungaliyan thamaa karti thi
Khud roothe khud hi Manaati thi Geeta
Har din naya Drama karti thi
Ladte Jhagadte the fir bhi thi meri
Hamari ye Crazy kahaani thi
Shaadi bhi karni thi boodha bhi hona tha
Abhi poori Life bitaani thi
Masoom se Chehre pe uske Shararat
Nahin kaise Geeta pe marta Main
Subeh shaam din meri raatein thi us se
Kaise na Khone se darta main
Saare andheron mein Mera ujala thi
Geeta hi mera Nazariya thi
Takleefein Hazaaron Jamaane mein faili thi
Meri wo khushiyon ka Zariya thi
Par Logon ko padhne mein Gandaa tha
Aankhein to thi par main Andhaa tha
Badlne lagi kuch dino se thi Geeta
Boli ki Main uska Fandaa tha
Achaanak se kehti Hamaare Relation mein
Baby kahin kuch to miss sa tha
Bataaya mujhe mere Yaaron ne
Uske ghar aaya ek Rishta tha
Kis se main ladta kise main haraata
Khud Geeta ne Chhoda akela tha
Kya pyaar Bharosa kuch hota nahin hai
Sab kuch Paise se taula tha
Toota tha Geeta se Chhoota tha
Fir bhi wo Dil se na jaati thi
Ro ke sheher maine Chhoda tha Us din
Rukne ki wajah Kya baaki thi
Tujhse jo dhokha mila hai
Khud se ye vaada kiya hai
Chahoge to bhi Na Lautuga
Maana Ye Mushkil hai jaana
Bas tumko itna bataana
Jaanoge meri kadar tum haan
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Lage the kayi Saal khudko sameta
Kya ho rha tha khabar hi na thi
Sabki tarah dauda main Andhaa sa
Maine bhi paayi ek naukari thi
Koi nahin tha paas mere jab maayus tha
Bas tanhaayi thi
Jab dil ki saari feelings maar di
Geeta fir kyun aayi thi
Nafrat hai mujhko un Yaadon se
Nafrat teri jhuthi baaton se
Nafrat ki tujhpe bharosa main karta tha
Saare tere jhoothe Vaadon se
Nafrat un gaano se tujhko sunata tha
Nafrat tere bhole chehre se
Nafrat hai khud se kyu andha tha paagal tha
Sambhal ja Beta Sab keh rhe the
Nafrat hamaari Tasweeron se
Saari ki saari Jalaa di thi
Nafrat ki lagta tha waapas tu aayegi
Nafrat tu fir bhi naa aayi thi
Torcher main hota tha yaadon se
Bun Bun ke hamne banaayi thi
Nafrat tujhe to main yaad hi na aya
Baby tu mujhe chhod aayi thi
Achaanak mujhe dekh Ruk si gayi
Neend se jaise jagaaya tha
Afsos Pachhtawa takleef uske chehre pe
Sab kuch nazar aaya tha
Uski Muskaan aaj bujhi si thi
Baalon ka jooda banaya tha
Na kaajal Na bindi Na makeup hi tha
Chehra bhi utar sa aya tha
Kuch Ruk ke boli Tum kaise ho
Meri to dhadkan hi kaanp gayi
Maalum hai Geeta Nahin bhoola tujhko
Geeta tu isko bhi Bhaanp gayi
Fir boli Husband beemar hain
Dawaa lene aksar wo aati hai
Ilaaj mein business bhi doob gya hai
Geeta khud hi Job karti hai
Lagta hai mujhme bhi Jaanwar chhipa hai
Ye sun ke bhi Jaane kyun Khushi mili
Upar wale ne Meri bhi suni
Tabhi to inhe bhi taklif mili
Haan Nafrat thi Geeta ke husband se
Dil mera Usne hi Raunda tha
Dhokha diya Mujhe tune Geeta
Dekh na Tujhe bhi kya mila
Main har din Jala tha ghula tha zeher mein
Thodi aanch tujhpe bhi aayi thi
Har Raat roya tha Ghut Ghut ke main
Kuch raatein tune bhi paayi thi
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Nafrat ko paala tha saalon se maine
Pyar ke liye to jagah hi naa thi
Fir bhi nahin tha Sukoon mere chehre pe
Dil mein koi bhi Khushi hi na thi
Is pal ko aise main jaane na doonga
Mera tha Badla Meri baari thi
Wo boli ki Aati hun Kuch der mein
Mujhe maalum tha wo jaa rhi thi
Jaane kyun usse ye kehna tha
Koi kasar ab bhi baaki thi
Doston se bola Pataa karne ko
Aspatal ka Jisme ilaaj karaa rahi thi
Saalon ka Gussa kya Minton mein jata
Wo Sara Toofan fir laayi thi
Kuch mahine baad usi Jagah
Geeta fir nazar aayi thi
Thaki si thi Aankhon pe Ghere the
Kamzor si Dikhne lagi thi wo
Bholi Geeta ab badal si gayi thi
Alag hi Lagne Lagi thi wo
Sambhala khud ko Sameta
Taklif mehsoos naa hone duga
Aur mujhe dekh ke wo Aise Muskurayi
Jaise Jaanti thi Main use fir Miluga
Geeta bin Jhapke hi dekh rahi thi
Jaise ki kuch kehna chahti ho
Saari Nafrat meri lene ko Raazi ho
Par Saamne rehna chahti ho
Kuch to Galat tha koi to riddle thi
Jo aur bhi ulajhti hi jaa rahi thi
Fir call aya us Aspatal se
Jahaan Husband ka ilaaj karaa rahi thi
Kuch Aisa suna Sab Ruk sa gya
Aankhon pe Andhera sa chhane laga
Yaad hi nahin kya hua mujhko is pal
Rona mujhe khud pe aane Laga
Geeta ne shaadi to ki hi nahin
Meri hi Yaadein Sambhali thi
Geeta akeli thi Gehre Andheron mein
Meri to Raatein bas kaali thi
Husband nahin tha Na shaadi koi
Jhooth tha bas ye Bahaana tha
Sabkuch akele hi Sehna tha Pagal ko
Sabkuch akele Nibhana tha
Naa Aansu hi Rukte Naa main Sambhalta
Jeene ki chahat Rahi naa thi
Pichle Do Saalon se Cancer se Ladti aur Marti
Meri khud ki Geeta thi
Mere Din ke Ujaalon mein Tum the
Meri Raaton ke Taaron mein Tum the
Meri Aankhon ke kono mein Tum
Tumhe Dhundhoo Kyun main haan
Tum Dil ke Khajaane ka Sona
Hona hi tha Door hona
Rona fir kyun tumhe chhu ke
Has lun kyun main Naa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa
Chhodegaa Jo sath mera
Tadpegaaa Tu bhi zaraaa