Tumse milke he laga
Tujhko hi main dhoondta
Tumko lagti hain na saari meri baatein jhooti haan
Tumpe thehre hain nazar
Haste haste bekhabar
Baatein karte karte aa gaye hum kaafi door haan
Saath chalke lagana
Barson ka ye bahana
Chalte chalte yun hum tum bhol jaye ye zamana
Tere saath ke savere,
Aaye badalon me dhalne
Haft-rang me rang gholna
Mere baalon ko bikhere
Aayi hawayein hain milne
Kehde mujhse kuch toh bolna
Bolna tu maahi
Chaahaton ka toofan liye
Beparwah, tu aise barse
Tere saare raaz kholna
Teri baatein makhmali
Phisla hun main har ghadi
Dekho dhalte dhalte shaam me bhi aaye noor haan
Chehra tera aayina
Dekhu tumko rozana
Chaayi hain fitoori humpe teri ya khumariyaan
Pehli dafa mujhko aisa hua he
Naaa
Jaane kaise, koyi apna laga he
Mere baalon ko bikhere
Aayi Hawayein hain milne
Kehde mujhse kuch toh bolna
Bolna tu maahi
Chaahaton ka toofan liye
Beparwah, tu aise barse
Tere saare raaz kholna
Teri nadaniyaan main samjha karun
Tumko musalsal sunta rahun
Kaise na jaane parchaiyan
Mujhse hi milti teri
Meri har khamoshi me jazbaat hai
Sunlo zara ab lamhaat hai
Haan saazishon me kainaat hai
Tere mere hi liye