Reet pyar ki na hogi purani
Main dilon ka baadshah, suron ki tu rani
Khaila jo khail ye hai meri naadani
Paan kay paton main dilon ki kahani
Sunlay... dhoond na paaoun main tujhe
Kalay andheron main
Jo rub cheen lay... uspe kya rona hai
Alag hi rahay... kal jo bhi hona hai
Wo janay kisnay jana
Main tera hun nishana
Chaal jo bhi chalna
Wo humko bhi batana
Bujh gaye... rahon kay sub wo diye
Aey dil tu soch lay
Reet pyar ki na hogi purani
Main dilon ka baadshah, suron ki tu rani
Khaila jo khail ye hai meri naadani
Paan kay paton main dilon ki kahani
Sunlay.... Bhool na paaoun main tujhe
Sawan ki boondon main
Sehra ki us paar, krna hai intezaar
Kabhi wo bhi ayegi, kabhi aayegi bahaar
Rahon main kabhi, kabhi rahon main dekha
Kabhi khuwabon ki saji kaali gufaaon main dekha
Junglon main bhi, aasmaan aur zameen pe
Wo katil aakhri, teri adaaon main dekha
Hum chalay... paani ki boondon main bahay
Mujhe paana hai tujhe
Reet pyar ki na hogi purani
Main dilon ka baadshah, suron ki tu rani
Khaila jo khail ye hai meri naadani
Paan kay paton main dilon ki kahani
Sunlay... Bhool na paaoun main tujhe
Bujh gaye ... rahon kay sub wo diye
Aey dil tu soch lay