Khuwabon ki dunya say nikal ja
Apni lagan main tu pighal ja
Ohooooo hoooooo
Apnay sheher say tu nikal ja
Jee k dikha day jeena sikha
Ohooooo hoooooo
Mere dil main utha ik chor
Deewanaypun ka hai zor
Mere dil main uthi ik aag, mere
Kadmon main jalay ik rakh,is pal main
Khud ko mitanay chala main, duldul main
Khud ko phasanay chala main, mujhko daikho
Khud main magan meri soch, mere dil main
Jo bharkay agan banay josh, mujhe khud pay
Yakeen nahi hoga mera kia, kia in
Sazon main milayga rasta, socha tha k
Hathon ki likhainge lakeerain, mujhe lugta hai
Khuwab rahainge bus khuwab, hum ko
Kia milayga kabhi kia rozgar, bin maa k
Palay ko kia milayga kabhi pyar, footpath pay
Jo para hai wo bhi hain insan, insaniat
Ka hai yahan bohran
Bayhis bhi humein, bayiman bhi humein
Qaid ka hain pakistan humein
Hum martay hain, lartay hain
Lar k jhagartay hain
Jhagar k sumbhaltay
Sumbhal k ubhartay hain
Phir girtay hain usi duldul main
Jahan say hum niklay thay
Usi jungal main jahan pay hum jungli thay
Jahan pay humain nahi tha pata k hum kon hain
K hum ik kom hain
Khuwabon ki dunya say nikal ja
Apni lagan main tu pighal ja
Ohooooo hoooooo
Apnay sheher say tu nikal ja
Jee k dikha day jeena sikha
Ohooooo hoooooo
Humain bus aata hain nachna 14 august pay
Hum mutlub parast hain
Apni zindagion main must hain
Dustay hain apnay hi bhaiyon ko
Jaise kasayi hon hum,
Wehshat samayi ho
Khatay hain gosht unhi ka
Ye dosh humein ka
Hai hosh tumhain kia? Hai kia?
Baton main hoti hai larki
Aur uski jawani, hain batain purani, deewani....
Chahain ho pass sawari
Ik achi si gaari
Chmakti ferrari
Per larki usmain pyari ho
Meri us say yari ho
Shahi supari
Ye soch humari
To saray anaari
Saray juwari ho
Ye kheti humari
Hum nay ujari
Ye apni kahani
Meri zubani
Maine sunani
Maine ye thani
Ye dharti mujhe kabhi nahi hai gawaani
Pathanon uchala hai lateefon main
Inhi parhay likhay mou bolay shareefon nay
Nafrat liay baithay takrar main
Neelaam hongay dunya k bazaar main
Tankeed, sayasi reet
Halaal huay zawaal ki talwaar pay
Khuwabon ki dunya say nikal ja
Apni lagan main tu pighal ja
Ohooooo hoooooo
Apnay sheher say tu nikal ja
Jee k dikha day jeena sikha
Ohooooo hoooooo
Main khud hi say larta hun raton ko soch k
Kerta hun kuch nahi, likhta hun josh main
Kerta hun saray gunaah wo bhi jaan k
Pata hai k milaygi saza agalay jahan main
Main jism ka pujari, ayashyan sawar
Husn k bazaar say tu mujh ko nikal
Mujhe apna bana, meri hawas ko mita
Tu wo sacha rasta mere dil pay utar
Ye dhuwain ki masti reh jayegi yahein
Is jeewan ki kashti doob jaye na kahein
Jo mumkin nahi wo aaj ker k dikhana hai
Mojon main beh k humain us paar jana hai
Khuwabon ki dunya say nikal ja
Apni lagan main tu pighal ja
Ohooooo hoooooo
Apnay sheher say tu nikal ja
Jee k dikha day jeena sikha
Ohooooo hoooooo