Kaash
Maine baat apni suni
Hoti to zindagi aaj
Kahin aur hi le jaati,
Par baithe hain abhi
Apne zid ke saaye me;
Gaate hain yahi
Geet iske baare me.
Hum
Kehte to hain
Sabko yahi
Sab theek hai;
Par
Andar kahi
Chubhti huyi
Takleef hai
Kaash Hume mil jaata kahi
Phir se wo lamha to kal
Ek nayi subah hoti,
Par hota yoon nahi
Jeevan ki phere me;
Peechhe jo gaya
Ghum hai andhere me.
Kaash Hume aata ye hunar
Ke kal ki bhool ko yaad
Kar ke bhi jee lete,
Ab seekhenge ise
Apni hi baato se;
Poochhenge nahi
Ise apni yaado se.
Kaash