Ek jaisi dhadkanon ki
Ek jaisi thaap hai
Ek jaisi do aankhon ke
Ek jaise khwaab hain
Kyun bhala, soch toh ye vaasta
Ek jaisi dooriyaan hain
Ek jaisi rooh mein
Ek jaise ghaav paethe
Dil-e-majrooh mein
Koi toh muskuraaye, koi awaaz de
Chuppi ke ghaav bhar ke, marham sa raag de
Kachche se dil ke ghere, tere, mere
Kachche se dil ke ghere
Kab tak jhele andhere
Toote se chaand ko ye
Le kar dhoonde akere
Rishton ka raasta
Kyun bhala, soch toh ye vaasta
Ek hi jo dard hai gar
Ek hi hogi dawa
Ek jaise hi kadmon se
Kam hoga faasla
Koi toh baah khole, baahon mein bheench le
Birha ke taar leke, pee sa malhar de de
Ghaavon se peer leke, man ka singaar de de, aise, jaise...
Paani mein rang ghule hon
Pii mein ye ang ghule hon
Main reh jaaye na man mein
Dono yun sang ghule hon
Ban jaayen dastaan
Kyun bhala, soch toh ye vaasta