Tassawur mein dakhil hai teekhi tabahi
Kalam ka hai rutba mayari siyaahi
In alfaazon mein sab jawabaat simte
Kaha par saza aur kaha par rihai
Zamana bhale hi hai anjaan sach se
Par waqif sab khudse kya kiski kamai
Nishane par ab bhi mere hai farebi
Kya mahshar banaya kya raushan bujhai
Jawabon ke aage sawaalat feeke
Gunaahon ke aage hukumraan feeke
Nishano ke oopar nawazish hai kiski
Nigahon ke aage karamaat feeki
Talabgaar tumne talab jo lagai
Tadap te talab mein talab tab bujhai
Talabgaar main bhi talab thi mujhe bhi
Talab bhi talab thi talab bujh na pai
Bahano ka lekar sahara ye firte
Gawara inhe kaise is tarha firna
Nirasha ka lekar chiraga ye firte
Gawara inhe kaise is tarha firna
Suqoon se hi haare suqoon mein begairat
Suqoon ka tha lamha suqoon par na thahera
Suqoon ka sama bhi suqoon se tha ruswa
Suqoon rooh na thi suqoon na tha chehra