Apni dhun mein chalti woh jalti thi
Dekhnay mein alag thi woh ek thi
Badal barastay thay jub woh roti aanso bahati
Us ki nazar jo padi to bana hai mera fasana
Us ki hansi mein jo baatein hain chupi
Keh daiti hain sub he ko ye kinara hai paas koi
Main aur wo ek he awaaz thay
Woh aur main ek he pukaar thay
Roshni mein jaltay hain jaise sur wo us kay
Gaati hai jaisay wo toota howa khwaab koi
Raastay anjanon pay woh chalti hai
Kho jaati dua jub koi
Kaash aasmaanon mein woh rung dikh jatay bikhar aatay
Jin rangon ko saja ker woh khel sakay