Haathon mai haath thay
Jab hum saat thay
Hum ne liya tha qadam
Un ki pukaar thi
Un ka sawaal tha
Kab hoga imteha'n khatam
Yeh rastaay to kat hi jaayein ge
Yeh baadal to hat hi jaayein ge
Woh jo iraaday thay
Woh jo waaday thay
Pooray huwe
Jab hum saath thay
Aansoo beh gaye
Abh un nadiyon mein
Kal phir hogi aik aur subha
Yeh rastaay to kat hi jaayein ge
Yeh baadal to hat hi jaayein ge
Chalo utho phir se chalein, umeedon ke diye liye
Chalo utho phir se jiyein, umeedon ke rangon mein rangein
Saaz yeh khamosh thay tufan mein
Baadal garajte thay awaz mein, awaz mein
Kaliyan lehrati theen hawaon mein
Sur mileinge abh har qadam se
Yeh rastaay to kat hi jaayein ge
Yeh baadal to hat hi jaayein ge
Chalo utho phir se chalein, umeedon ke diye liye
Chalo utho phir se jiyein, umeedon ke rangon mein rangein
Waoooooohhh
Ooh
Chalo utho phir se chalein, umeedon ke diye liye
Chalo utho phir se jiyein, umeedon ke rangon mein rangein