Geeli reath pe nangey paon
Haathon me leke haath
Chal pade hain dono kinaron pe aise
Parchaiyon ke sath
Khurchane yaadon ki batorien
Fursaton ki seepiyan chune
Ya koi dhun purani gungunaate huye
Jhoome halke- halke aaj
Lehren chume pairon ko humari
Aadha suraj paani main
Badalon se ojhal-ojhal chand bhi kuch kaye...
Zindagi iss pal main hai yaheen kaheen
Kal ki baatein saari ajnabi
Sochke kyun dil dukhaye
Dur kashtiyon mein dhoondti hai khushiyan
Ankhein teri meri
Kashtiyon mein baithe log bhi talashtien hai
Kinaron mein khushi
Na humko hai pata, na unko hai khabar
Kahan milti hai khushi
Kal ki khoj mein hai har koi
Bhulta aaj ko kaheen
Zindagi iss pal main hai yaheen kaheen
Kal ki baatein saari ajnabi
Sochke kyun dil dukhaye
Zindagi iss pal main hai yaheen kaheen
Kal ki baatein saari ajnabi
Sochke kyun dil dukhaye
Lehren chume pairon ko humari
Aadha suraj paani main
Badalon se ojhal-ojhal chand bhi kuch kaye...
Zindagi iss pal main hai yaheen kaheen
Kal ki baatein saari ajnabi
Sochke kyun dil dukhaye