ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH ke dikha
Rokh ke dikha tere
Saar meh uttar jau
Teri hi baat se
Tujko massal jau
Teri harkato ko
Jach ke parakh jau
Fir jo bolu meh
Usmeh amar jau
Tujko vishwas nahi
Iss liye dar ja
Kis liye ji raha hai
Sochle, ab ghar ja
Bhagwan agar sach nahi
Toh jeewan kaise shuru hua
Tuhi meri pariksha hai
Ab tu rahega ya meh rahuga
Ho gaya?
Ab sun
Dhongi hai tu
Tere baat meh koi dum nahi
Muje kya maslega
Mera vishwas tere se kum nahi
Teri harkato se toh
Mere jaise bana koi
Nastik hu
Chuna hai aapna, aapna dharam vahi
Nakli patthar pehenke, tu kya batayega
Zinadagi jeena, tu mujhe sikhayega
Nanga ghumke tu paisa kamayega
Sabki aurto pe kum kum lagayega
Sabko kehta hai 'mera dharam chun'
Par tera dharam kehta hai, 'Khud ka rasta dhund'
Main nahi kehta tu nastik ban
Par kum se kum khudki bhagwan ki toh sun
Abey tu kya jaane mera bhagwan kya kehta hai
Tere liye toh sirf paisa bolta hai
Hum toh kehete hai, humare uppar koi baitha hai
Par jab tu aakh band kar, sirf dhan tujhe dikhta hai
Yeh Bharat desh hai, yaha dharam sirf chalta hai
Tera andhavishwas sabke liye khatra hai
Meh tuje rokunga, yehi meri iccha hai
TOH ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH ke dikha
Tuje roku, yeh baat toh pakki hai
Teri galti nahi ki tu shakki hai
Kyuki tujhe mile sirf dhongi hai
Par tuje lagta tere paas jankari hai
Kabhi yeh puch ki loog aaj kal kyu itne dukhi hai
Kabhi yeh puch ki shaadi aaj kal kyu nahi chalti hai
Kyuki nastiko ne unse unka vishwas cheen liya
Hum insaan hai, sahi chalne ke liye karma hona zaruri hai
Salle tu karma ki baat karta hai
Jab tu vishwas pe paise kamata hai
Aur main manta hu tere paas shakti hai
Joh Bhagwan ne tujhe de hai
Tu jo bole, voh sab kare
Tere har shabdh pe zindagi badalti hai
Aur main janta hu tu mujhe rokna chahata hai
Kyuki mera vishwas ek ghatta hai
Aur agar Bharat dharm pe chalta hai
Toh yaha sab paiso se kyu bikta hai
Haan, meh nahi manta humme aatma hai
Par mujhe sahi aur galat donno dikhta hai
Afsoos hai muje, ki tu yeh sochta hai
Teri maan ki shanti ke liye mujhe chinta hai
Hut teri dhan ki shanti ke liye tujhe chinta hai
Afsoos mat kar, mujhe sab sacch dikhta hai
Agar tujhe sab sacch dikhta
Toh yaha sabkoi paiso se nahi bikta
Meh jantu hu aahimsa
Par tu jeeyega kaise vishwas bina
TOH ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH
Mujhe ROKH ke dikha