Rahmate rahmaan aa gaya ramazan
Rahmate naazil hui hain utra hai quraan
Aa gaya ramazan
Aa gaya ramazan
Khuda ne ye mahina har mahine se juda rakkha
Ise apni taraf manssob karke martaba rakkha
Ise sardar poore saal me har maah ka rakkha
Gunahgaaro ki khatir bakhshisho ka raasta rakkha
Musalsal rahmato ka nemato ka silsila
Khule rahte hain sab dar jannato ke is mahine me
Khuda ka shukr hum hai nemato ke is mahine me
Kami rahmat ki kya hai rahmato ke is mahine me
Hua quraan naazil barkato ke is mahine me
Karo ae momino shukre khuda hamde khuda
Koi momin rakhe roza to sona bhi ibadat hai
Sawabo ki bahaar aai hai mosam khoobsoorat hai
Amal hai nek to das das guni neki ki ujrat hai
Kahin par aik aayat padhna quraan ki tilawat hai
Anokha hai ye noorani ye roohani maza
Falak par jab se maahe som ka ye chand chamka hai
Musalsal masjidon ki ronaqo me bhi izafa hai
Paye iftaar jo masjid me iftaari sajata hai
Wo momin rooh ka aur jism ka bhi rizq pata hai
Jo khidmat rozadaron ki kare khush ho sada
Ajab si roshni raaton me bhi mahsoos hoti hai
Hamare nafs me pakizgi mahsoos hoti hai
Karo iftaar to dil ko khushi mahsoos hoti hai
Khuda ki bandagi hi bandagi mahsoos hoti hai
Har ek momin ka daaman hai ataao se bhara
Hazaro maah se ye qadr ki ek raat bahtar hai
Khuda ne jo kahi quraan me wo baat bahtar hai
Har ek soghat se ye qadr ki soghat bahtar hai
Bas ab aale mohammad par padho salwat bahtar hai
Qubul uftad zehe izzo sharaf mango dua
Zahure sibte akbar ki khushi sab ko mubarak ho
Khuda ke noor ki ye roshni sab ko mubarak ho
Mahe zahra ki noori chandni sabko mubarak ho
Ye farzande nabi lakhte ali sabko mubarak ho
Hasan hai naam iska aur laqab hai mujtaba
Hamare haq me tofiqe ilahi hai raza fidvi
Jo apne raaste me manzile maahe siyam aai
Khuda ne is mahine nafs ki pakizgi bakhshi
Hui taqve se phir sehat hui phir door bimari
Hui taza najaf ki yaad yade karbala