Kon ata hai kaabe ke andar deevar ye kyu shaq hoti hai
Kiske qadmo ka hai ye asar deevar ye kyu shaq hoti hai
Aahat se to aesa lagta hai ik shere nar ki aamad hai
Jisne bhi suna ye thik suna beshak haidar ki aamad hai
Hai khauf buto ke chahro par deevar ye kyu shaq hoti hai
Sarkare do aalam shaad hue islam ka mohsin aya hai
Jis din ke liye taamir hua tha kaba wo din aya hai
Khud dekh le aake ahle nazar deevar ye kyu shaq hoti hai
Tha hukme khuda wande aalam kar deti bhala wo kaise rad
Nazdeeke jidare kaba ke aai hai janabe binte asad
Abnaae zama hai shashdar deevar ye kyu shaq hoti hai
Rahmat ki ghatay chai hai dunia me bahare aai hai
Hamraah janabe binte asad kabe ke liye kya laai hai
Hai dekhne wala ye manzar deevar ye kyu shaq hoti hai
Arshe aala se farshe zamee par noor ka ik tukda utra
Aesa to karishma dunia ne pahle na kahi dekha na suna
Hairat me pade hai deedavar deevar ye kyu shaq hoti hai
Haq kya hai ye ho jaega ayaa aur kufr ka hoga haal bura
Mansubay baatil toot gaya kabe me hai jitne jhute khuda
Deewaro se takrate hai sar deevar ye kyu shaq hoti hai
Hai kufr ka ashdar sahma aur zulmat ko pasine aate hai
Ab dekhiye aage hota hai kya ye soch ke but thrrate hai
Hai koi sabab isme muzmar deevar ye kyu shaq hoti hai
Allah pe rakhte ho eemaa to uski qudrat ko samjho
Hairat me musalmano na pado jiska ghar hai usse pucho
Wo janta hai sabse bahtar deevar ye kyu shaq hoti hai
Beshak ye tilismi aur na ye koi insani taqat hai
Ye kaam koi asan nahi aakhir ye kiski qudrat hai
Pahunchi na yaha tak aqle bashar deevar ye kyu shaq hoti hai
Musa ke liye daria me un bara rasto ko banane ki
Tamheed thi gyara imamao ke jadde amjad ke aane ki
Kya ab bhi wazahad ki hai kasar deevar ye kyu shaq hoti hai
Kuch raaz khule hai dunia par kuch raaz abhi tak hai baaqi
Ye nuqta mazhar aur raza tahqeeq ka markaz hai ab bhi
Socha karte hai danishvar deevar ye kyu shaq hoti hai