Parchame abbas hoon mai parchame abbas hoon
Mai abutalib ke ghar ka qeemti almaas hoon
Mujhko hamza ne uthaya ye sharaf mujhko mila
Mujhko jaafar ne uthaya ye hai mera martaba
Jisko saupa tha ali ne mai usi ke paas hoon
Mai azadaro ke sar par rahta hu saya figan
Rahti hai saay me mere matami har anjuman
Karbala tahreer hai jispar mai wo qirtas hoon
Ba khuda mujhko mita sakta nahi zaalim koi
Zindagi mashke sakina ne mujhe di hai nai
Daste ghazi ne chua jisdam se mai ilyaas hoon
Jiska khoon hai paak bas mujhko utha sakta hai wo
Jiske dil me hai wafa mujhko saja sakta hai wo
Har azakhane ka zamin amn ka ahsas hoon
Baabe shahre ilm ne bakhsha mujhe tarze bayaan
Aaye hai taqreer meri sunne dunia ke nishaan
Mai tamannay ali ki fatha ka ijlaas hu
Aye azadaro hai mujhko tum pe pura aetbaar
Shaah se hai pyar tumko aur mujhko tum se pyar
Zalimo se door rahta hu bahut hassas hoon
Saaybaan hai mera saya be makano ke liye
Baise rahmat hu mai dono jahano ke liye
Be saharo ka sahara hu mai sabki aas hoon
Baal baaka kar nahi sakta mera koi yazeed
Hai mera mahdi nigehbaan aur quraane majeed
Mutmain hoon bolte quraan ke mai paas hoon
Dekh ke abbas ka parcham ye lagta hai raza
Jaise mazhar kah raha ho khud shahanshahe wafa
Kal bhi mai abbas tha aur aaj bhi abbas hoon