[ Featuring KILLXO ]
Aye khuda kiska ye kusoor
Badh raha par raaho pe door
Aye khuda kiskaa ye kasoor
Door nashe se mujhme maut ka suroor
Marta roz kasoor ye ashiqi ka
Mere marne ke baad bhi ye rehna raaz hi tha
Ateet ke ghaav kitne hai peeth pe
Ek kisi din mujhe banna laash hi tha
Khanjar jis hatheli me wo khud ka hath hi tha
Khoya mansik santulan asar ye laazmi tha
Mehsoos hone lage mujhe thode badlaav
Shayad maut se mulakat ka din ye aaj hi ka
Dum ghut-ta hai meri rooh ka badan me
Aaj bhi tere sang beete pal kosta hu
Aise din the jab tere pyaar me magan mai
Aaj unhi palon me main khud ko khojta hu
Kabhi kabhi sochta hu kar khudkushi
Aazaad kar du kya is rooh ko libaas se
Tujhse ishq ke alaawa kiye kai bure kaam
Bas bach gaya charas gaane aur sharaab se
Aakhiri hai khwahish meri aakhhari hai pal...
Poori karti jana kya pata tha na dikhun kal...
Aana meri or tum or kehna ek dafa fir...
Jaise pehle kehti pagal kandhe pe rakh tu sar...
Yaad kya tumhe bhi kaise the mile us wakt
Hath mai tha sketch tera sardi ka wo wakt..
Kaafi hui thi khush dekh kagaz pe khud ka chehra.
Bhale yaad na ho tumhe mai ni bhool sakta wo wakt
Kaise rakh kar apna sar god pe kehta lori gaa..
Or tu gaati mere liye mujhe gale se laga....
Ek pal bhi ham akeke ni rehte the fir ...
5 saal alag rahe akhir kaise bhala??W
Mushkilo mai rahat banu... Asuo mai hal
Dua karu khuda se tere liye har ek pal..
Agar bina mere zindhi bane teri asaan
Tham jaay meri saase isi wakt na dekhu kal