Ishq ke pyale ko zeher bulati hai
Mein usko bhi peena chahta hu
'Gar mille tu mujhe meri maut ke baad
Mein seedha, ab maut mein jeena chaha hu
Jakad le tu baahon mein apni mujhe
Mujhe apna banale
Abhi door tou kaafi tu hai mujhse
Mujhe paas bulale
Tasveero ko taakta mein rahu
Tere chehre pe hassi hai
Meri aankhon mein yaadein tou hai bassi
Par haathon mein rassi hai
Mera toota hua parr hai tu
Haan khai tou hai par ghar bhi tu
Subah shaam raat ka nasheela asar hai tu
Pukaru tujhe par milla mein qabar se hu
Mein thoda bekhabar sa hu
Kya wo bhi tere ishq mein ese marhoom hua
Kya palkon pe bethe tu uske, kya
Wo bhi tere ishq mein likhke mash'hoor hua
Kya uska bhi sarr teri godi pe
Dheere dheere uske tu baal sehlati hai
Kya wo jab pooche mere baare tou
Naam sun mera mujhe galti bulati hai
Ye bolke kya aankhein jhukati hai
Kya bolke tu khudko sulati hai
Jisne tere aage sajda rakha usko
Sabki aankhon mein tu jhoota kehlati hai
Mere saath tou makan banaya par
Auro ke jaake tune ghar kyu sajaye the
Meri aankhon mein tou dekh bata
Bin baarish kyu tune badal banaye the
Mein jaanu tujhe sab dikhta hai
Tujhe usme hi rabb dikhta hai
Tu gayi tou pata chala
Yaha pyaar se zyada tou ghum bikhta hai
Aaja tu aaja tu aaja tu
Aankhon mein dekh mujhe apna banale
Aaja tu aaja tu aaja tu
Honth pe honth tu soch milaade
Aaja tu aaja tu aaja tu
Tere baare likhe hue gaane mitaade
Meri maiyyat ki mehfil sajji
Mujhe maut ke saamne tu taj pehenaade
Aaja tu aaja tu aaja tu
Aankhon mein dekh mujhe apna banale
Aaja tu aaja tu aaja tu
Honth pe honth tu soch milaade
Aaja tu aaja tu aaja tu
Tere baare likhe hue gaane mitaade
Meri maiyyat ki mehfil sajji
Mujhe maut ke saamne tu taj pehenaade
Adhoora mein, Adhoore hum, Adhoori ye baatein bhi saari hai
(I dont know how to make this happen)
Adhoora mein, Adhoore hum, Adhoori si raatein guzaari hai
(I cant stop crying and I just wanna go)
Adhoora mein, Adhoore hum, Adhoori ye kismat likhaayi hai
(I cant do this anymore, I cant do this without you)
Adhoora mein, Adhoore hum, Adhoori hi meri parchhai hai