Sun sako agar
Mere dil ki dhadhkan
Pohochti hai kya tum tak?
Suno na
Khyaalo mein tujhe tha dhundhta rehta
Ik aahat jab hoti sab goonjta rehta
Tu hai kya kareeb ya door hai mujhse
Bas utsuk hu mann se mehfooz sa rehta
Hai gehra ye rishta tere mere beech ka
Jaane tu kabse yuh maut ka meet tha
Roya main jab jaane sab maine khoya tha
Lafzo mein raat ko tujhe sanjoya tha
Tujhe sanjoya tha
Karta main dua umar teri lambi ho
Chehre pe hassi na saanson ki tangi ho
Palan kiya mera garmi ya sardi ho
Kaisi ada ye wafa ki jo wardi ho
Khaas hai tu mere dil ke kareeb hai
Khona tujhe ye insaani naseeb hai
Bin tere ghar bhi ye kaisa ajeeb hai
Sapno mein aati tu kitni haseen hai
Taanga jo tujhe ab phoolo ke beech mein
Pooja kari teri kartab naveen hai
Socha na tha maine tujhe main kho dunga
Aankhein yuh moonde jo dekhu to ro dunga
Gam ki iss maala mein tujhe piro dunga
Gam ki syaahi mein kalam bhigo dunga
Milu jab rab se tab baato ki garmi ho
Kosu main rab ko jab aankhon mein nami ho
Karta tha dua umar teri lambi ho
Reh jaa kareeb na jaane ki jaldi ho
Sun sako agar
Mere dil ki dhadhkan
Pohochti hai kya tum tak
Tum tak