Mushkile ab zyada badne lagi hain
Tere chehre ki kami ab khalne lagi hai
Vishwas na hua baatein banne lagi hain
Mere likhne se ab teri jalni lagi hai
Chorha maut ke darr par jo adh-mara sa
Dekha aaina yuh maano jaise khud dara tha
Baattein raaz hai bola maine sab kara tha
Rooh mrityu lok mein sajne lagi hai
Khair chorho maine dil ko dabba liya
Aankhein khol mann ko mana liya
Vaadein tol gam ko lubha liya
Raaton mein bhi pyaar basa liya
Jag ladd usko nibha liya
Mann mein tha khauf jaga liya
Sachha bhi khudhko bana liya
Tera jhooth sabko suna diya
Kaala rang sabko laga diya
Kaala rang sabko laga diya
Maana na tha pyaar mujhe jhootha bana diya
Raste mein chorh begaana bana diya
Hamdardi ka taraana suna diya
Kadwe rishton/vaadon ka ghooth pila diya
Tujhe kaise main batau mujhe smjh nahi aaya
Jismaani rishton mein khud ko gira diya
F*ck
Khud ko gira diya
Upar upar hai jaana
Mujhse na aage aana
Galat tu disha dikhata
Mauke pe bhaag jata
Gati mein tezi jatata
Sath mein vayuu le aata
Shakti pradashan vidhaata
Magar kisi ko na bhaata
Sawaal pe sawaal
Kab karega kamaal
Kab udega rumaal
Tera rang lahu laal
Tu hai desi awaaz
Likhe Urdu bawaal
Sun mere ye Bol
Hua tera bura haal
Likhu non stop main
Hue ab Das saal
Mera waqt ab hai
Maine maani na haar
Jala tu ab hai
Kalam jaise mashaal
Di dastak hai
Maine tode ye dwaar
Hath sar par hai
Peeche mere maa baap
Paisa ab kam hai
Aage aaegi baad
Mujhe doobna hai
Tujhe choomna hai
Success coaster mujhe jhulna hai
Tere chehre ka sach mujhe thookna hai
Tera stress buster mujhe phukna hai
Ab har shanivaar chade tel mukut
Brahman mein ban shani ghumna hai
Hosh na dil ko hai dard kamar tak
Shani main ban baitha lekin kab tak
Dhundha na mila mujhe agla awall sach
Kitna bhi khoju pau pichla guroor rass
Sheeshe main dekhu bolu aaina bahut hai
Kalam main roku bolu sehna bahut hai
Tairu main shaitani behna bahut hai
Khud se jhootha ye bhi kehna bahut
Upar upar hai jaana
Mujhse na aage aana
Galat tu disha dikhata
Mauke pe bhaag jata
Gati mein tezi jatata
Sath mein vayuu le aata
Shakti pradashan vidhaata
Magar kisi ko na bhaata