Soya Sheher, Soyi Subah
Aankhon mein yaadon ki parchaaiyaan
Vaade hain aur kuch iraade
Naye se safar ki angadaaiyaan
Guzarte logon mein pehchaane se chehre
Beete lamhon ke meethe se ghere
Haath uthaayein kahein alvida
Chala hoon main chala hoon main
Ajnabi si raah pe
Chala hoon main aye zindagi
Chala hoon main chala hoon main
Roshni ki chaah mein
Chala hoon main aye zindagi - Aye zindagi
Sachhe mile jhoothe mile
Gullak mein daale sapne hazaar
Baatein woh ankahee
Aankhon mein thehra intezaar
Jinpe jaan waari, woh saari yaariyaan
Milne bichadne, ki dushwaariyaan
Saath leke main chal diya
Paane ko hai saara jahaan
Udne ko khula aasmaan aasmaan
Jaana tujhe hai kahaan
Mere man Bas itna bataa...hooo