Behti kashti main
Wo dariya thi
Meri har khushi
Ka zariya
Rashkon me yun jal kar
Hun pareshan main
Sooni zindagi sookha dariya
Kyun padhte hain wo kisse khuda ke
Kya khuda unke har gum deta bhula
Kyun sazishein rachta aisi khuda hai
Na karo yaad tum to wo bhi dega bhula
Dega Rula
Kyun Aasmaan me uda ke zameen pe laa patke
Ishq karna bhi lagne lagti hai ik saza
Par kuch palon ke liye jo wo gussa bhula de
Pyaar itna ke fir lagne lagti hai ik dua
Aye khuda tu ik baar me bata de
Kyun hota hai gumo ka falsafa
Naa cheez ko kyun tu itni saza de
Naa karo yaad tujhko tu bhi deta bhula
Kyu padhte hain wo kisse khuda ke
Kya khuda unke har gum deta bhula
Kyun sazishein rachta aisi khuda hai
Na karo yaad tum to wo bhi dega bhula
Dega rula