Pal do pal ki hai yeh apni zindagaani
Jee le toh suhaani ya phir hai bemaani
Khwaabon ke dum pe hai iski har ravaani
Iski dhun pe naache hoke hum roohaani
Aankhon ne aankhon se nazron ki zabaani
Lafzon se chhupaai hai yeh woh kahaani
Din ke saaye mein ho raatein bhi begaani
Kar dein hum fanaa apni bezubaani
Zinda Dili... Zinda Dili...
Roothi raaton ki hai jhoothi yeh siyaahi
Sooni saanson se tu paa lega judaai
Jeena hai tujhe toh de de yeh gawaahi
Likh de aasmaan pe apni hi rihaai
Sun le har ghadi jo deti hai duhaai
Apne haath mein hai apni hi rubaai
Girti boondon si hai duniya yeh banaai
Udte lamhon ne hai hum yeh sikhaai
Zinda Dili... Zinda Dili...
Soyi hain jo khushi,
Saason mein jo basi,
Rahein nayi mili, mili...
Zinda Dili...