Bheege bheege raaston pe beparwah si
Ghoome jhoome rang tu yun udaaye
Bikhri nazarein saari jud gayi tujhpe
Haske haske tu nazar jo churaaye
Jaadu tera zaroor hai
Kaisa tujhe ghuroor hai
Kahaan se aayi hoor hai
Itna bata de mujhe sach hai ya tu khwaab hai
Bheegi hai hawaa tere aane se ya barsaat hai
Rakh legi pair zameen pe to kya wohi gul khile
Gar tu mili na to jeene me kya koi baat hai
Ho itna bataa bhi de
Albeli noor si
Chhayi suroor si
Jannat ya nark se
Aayi tu
Kya hai teri ye
Kya hai teri ye majboori
Doori doori ye kaisi doori
Kaise hogi ye baatein puri
Thodi teri ye thodi meri
Dil ki na acchi farebi
Ek chori phir seenazori
Rakh na baat ye adhoori
Thodi teri ye thodi meri
Jaadu tera zaroor hai
Kaisa tujhe ghuroor hai
Kahaan se aayi hoor hai
Jaane kahaan se
Aayi tu
Itna bata de mujhe sach hai ya tu khwaab hai
Bheegi hai hawaa tere aane se ya barsaat hai
Rakh legi pair zameen pe to kya wohi gul khile
Gar tu mili na to jeene me kya koi baat hai
Ho itna bataa bhi de
Albeli noor si
Chhayi suroor si
Jannat ya nark se
Aayi tu
Kaaton me ek kali
Dard me marhami
Jhoote sukoon si
Aayi tu