Is qabr ki bahoun mein
Mun to hai berozgar
Tareekh he to likhta tha
Is soch mein mein bikhra tha
To kidhar
Hai
Mera
Jahan
Dil jala ke sota houn mein
Teri yaadoun mein hota mein
Ye to meri khwaish hai
Ye falsafa najaiz hai
Meray lafzoun ko to sun
Sab kuch kia mene sun
Iltaja hai ye kiun
Aarzoo kahan hai gum
Us mein to hain chand se dukh
Tujh se door mene kya rukh
Thori lalach apni khatir
Tere liay sab kuch hazir
Kal nae aaj nae kuch nae haasil
Kidhar dekhoun sab kuch baatil
Dekho ye buzargi meri
Jaali aur andheri phiri
Nichli manzil uper mili
Kamtari to hai ye meri
Tere bin jee ke guzara
Magar dil nikla awara
Kehta tha tu takht pe ja
Wapis aaega sab jahan
To sath na chor
Mein doun kya aur
Mayoos sa houn kya
Mayoos he rahoun
Cheerte phaarte
Farishtay bhi hain
Misaal ho tum
Is jagat ki
Aaj nae kal nae
Kabhi to maroro gi
Ye waqti dil mutthi
Mein jo hain
To mein he houn
Samajhta
Samajhne mein
Houn gawah
Lafz to kafi nahi
Kitabein barabar nae
Waqif hona mumkin nae
Muarikh bhi to sathi nae
Dekho ye buzargi meri
Jaali aur andheri phiri
Nichli manzil uper mili
Kamtari to hai ye meri
(Abay kuch nae hota yar)
Tere bin jee ke guzara
Magar dil nikla awara
Kehta tha tu takht pe ja
Wapis aaega sab jahan
To sath na chor
Mein doun kya aur
Mayoos sa houn kya
Mayoos he rahoun
Mayoos
He
Rahoun