Khwabon Ka Ek Sheher, Aisa Banaunga.,
Duniya Se Main Pare, Khud Ko Le Jaunga.,
Lehron Se Darna, Fitrat Nahi Meri.,
Main Vo Kashti Hoon Jo, Sahi Pe Aaunga.,
Ye Hawayein.,
Na Rokegi.,
Manzil Meri.,
Main Hoon Parinda, Udta Jaungaa.,
Main Hoon Parinda, Udta Jaungaa.,
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Main Hoon Parinda, Udta Jaungaa..
Sapne Adhoore Hain, Zindagi Poori Kahan Hai.?
Bhram Hai Mrig Ko Bhi, Ye Kasturi Kahan Hai.?
Haqeeqat Ki Galiyon Se Main,
Guzarta Raha Hoon.,
Khushiyon Ki Chahat Mein Main,
Nikharta Raha Hoon..,
Har Mod Ne, Toda Mujhe, Judta Jaungaa.,
Main Hoon Parinda, Udta Jaunga.,
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Main Hoon Parinda, Udta Jaungaa..
Ye Nadiyaan Pyaas Meri, Bujha Na Payegi.,
Meri Awaaz Par, Chandni Sharmaayegi.,
Unchaiyon Se Ab, Parvat Ghabrane Laga?
Ye Sooraj Bhi Na Jaane, Paseene Bahane Laga?
Mushqilein Hai, Inn Raahon Mein., Chalta Jaunga.,
Main Hoon Parinda, Udta Jaunga.,
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Udta Jaunga
Main Hoon Parinda, Udta Jaungaa..