Kabhi shuruat hoon
Kabhi main ant hoon
Kisi ka beta hoon
Kisi ki maa hoon main
Andar jab shor tha
Bahar ka gul gaya
Khidki jo band hui
Darwaza khul gaya
Raaste pe jo chala
Har kadam pe jala
Phir bhi main chala
Majloom hoon par mehfuz hoon
Dard mein bhi mehzuz hoon
Meri masoomiyat bekasur hai
Haqeeqat mujhko bhi
Haan ab manzoor hai
Jiyale mein jeena
Andar mar jana hai
Isse ab ud jaana kahan hai
Jaisa bhi hai yeh mera jahan hai
Maana hoon gamzada
Par ye sun le sada
Ab hoon apna khuda