Sawali aya dar pe khayalo ky
Khali hath sath laya pitaray sawalo ky
Janeman jaan na lo jaan ky hamari tum
Pas ao baitho hum nazar utarygy
Diye bare ghum tum diye na pyaar
Diyay bujh gaye kar kar intazaar
Ikhtitam pe ja ponchi meri akhri sans
Do awaz humay loat ayen kabar phar kar
Jama kar lo na karo tafreek
Hum tum sy hen door ye ni theek
De do bheek hun sawali tere dar ka me
Teri hi fikar tera dar tera apna me
Shamein hijar ki taweel hen bohat
Peete hen roz hum dard ky ghoont
Astaghfar mere anjaam pe
Hun me aashiq, ibratnaak moat
Karo baat to qaraar ajaye
Bemaar ko shafa ajaye
Jaise khiza me bahaar ajaye
Jaise kafir pe islam ajaye
Kuch shoq tha yaar faqeeri ka
Kuch ishq ny dar dar rol dia
Tum ne bhi qasar koi chori na
Puri umar ka mujh ko rog dia
Ab me neend me bhi neend ko tarasta hun
Khawab itne tootay ky ab dekhne se darta hun
Mera hi qasoor to safai bhi kia dun me
Me such jaan ky bhi suchai sy mukarta hun
Mene zindagi sy tang aa ky likhi phir moat
Kha rahi he yaad teri na akay ka khauf
Afsoos mene pathar sy dil jo lagaya
Mera seesh mehal to tha tootna zaroor
Kaghaz ki kashti sawar hasratain
Bastiyan kitni ujar si gayi
Aashiq ky dil sy jo nikli phr aah
Hastiyan kitni plat si gayi
Ba adab ba muhlailza
Mekhana mera ye mera mushaira
Mera hi qanoon mera hi qaida
Zikar bawafa ka kiya hijar ka faida
Ajeeb si he shidat ibadat me meri
Namazain qaza na, dunaian bhi puri
100 jama 20 mere sajde hen din ky
Aye khuda tu karde bs manat ek puri
Me hun chahta sila meri wafaon ka
Na ky chahta sitam meri khataon ka
Me hun chahta wo mil jay mujhko abi
Isi waqat isi pal is ghari han abhi
Karo baat to qaraar ajaye
Bemaar ko shafa ajaye
Jaise khiza me bahaar ajaye
Jaise kafir pe islam ajaye
Shamein hijar ki taweel hen bohat
Peete hen roz hum dard ky ghoont
Astaghfar mere anjaam pe
Hun me aashiq, ibratnaak moat
Shamein hijar ki taweel hen bohat
Peete hen roz hum dard ky ghoont
Astaghfar mere anjaam pe
Hun me aashiq, ibratnaak moat