Ghado ke kaan katne se vo bnte nhi Ghode
Hum rkhke kaam kaaz gade hue murde nhi khode
Ye Delhi Gaon Dasghara paale sikke nhi khote
Anurakti nhi Moh se hum kalam seene mein ghope
Ye bina pende ke lote bina chede hi rote
Bina sooraj ki kiran jo bina keel k hi thoke
Hum uss kisam ke hathode
Jo kismat ko nhi kosse
Izzat ko nhi khote
Hinsak kbhi na hokr niyantran ko nhi chhode
Tode laundo ne Godde chaar
Fir samaadhi khodi paanch
Haraamkhori Li hai laang
Bina sankoch k kre kaand
Paidayshi pravrtti
Paigaam hai prachhann
Ye Pehchaan iss panghat ki
Ye ladke pehne hue nakaab sehme tehre hue anjaan
Bheh mein behte hue samvaad
Gehri lehro k hum jhaag
Ye bnte paiso se dhanwaan
Pr hai lehze ka abhaav
Rakhte mehlo sa swabhaav
Rehke mehlo se anjaan
Vastavikta mein vo Raja nhi sirf paakr sampatti
Vo issiliye Raja kiunki vo chaat chuka dhool sach ki
Jbh zehen mein ho Raja si soch aur fitoor na farji
Vo Dil se hai Raja khtam vo krta bhook sbhki
Mnn mein sawaal hai 65
Humne khwaab mein rehke
Dekhe khwaab thhe behtar
Ye lete saans bhi kehkar huhh!
Bemisaal ye kehkr khudko derhe shabashi jhoothi
Inke taane hum sehkr bnrhe samajik khooni
Mere dost bole Mai chase kr rha perfection
Aur ek samay pe maine chase kia rejection
Flows rahe ghatak dont you ever get it messed up
Rehna chahta jado se juda jaise mai quest love
Kaale vichaar derha bars mai yha roots par
Saamne hai Pyaar Peeche vaar jate loot kar
Kaam hai dimaag ka nishaan seedha rooh par
Bars rkhu cold kru cut jaise khoobchand
Kaafio ke dekh chuka roop rang
Ye khushboo hai mehnat ki jo na ske soongh sabh